aurangzaib khan hijr şarkı sözleri
Aek chehray mein to mumkin nahi itnay chehray
Kis se kartay jo koi ishq doobara kartay
Hijr krtay ya koi wasl guzara kartay
Hum behrhaal basar khwaab tumhara kartay
Aek aesi bhi ghari ishq mein aii thi keh hum
Khaak ko haath lagay to sitara kartay
Zarf-e-aaiina kahan aur tera husn kahan
Hum tere chehray se aiina sanwara krtay