b a t şarkı sözleri

Zara teri yaad le ke Zara teri yaad le ke Zara teri yaad le ke Ik subah jaise aaye, ik umeed jagaaye Jaise aaye ik aawaaz jo ke paas bulaaye Dukh ho ya dard ho, jo bhi dil mein gham ho Dil se mitaaye, sab kuch wohh bhulaaye Meri zindagi mein kuch aise aaye the tum Roshni ki kiran si laaye the tum Baithe rahe hum sab dil mein chupaaye Pooocha tumne haal hum kehh hi na paaye Tumne khud parh li meri saari mushkilein Bas khud par li meri saari mushkilein Meri aankhon ko zubaan maana Dil ko makaan maana Khudse mujhe nafrat thi, Tumne mujhko jaan maana Sab ne hi thukraaya Tumne ehsaan kiya Jeena namumkin tha Tumne par aasaan kiya Par tera pyaar bhi tha waqt ka ghulaam Aayi thi jo subaah aa gayi uski shaam Mere hi the abhi, abhi hue anjaan Safar tha kiya, kiya nikla anjaam Saath hi the abhi, abhi yaad ban gaye Bane tum dua, fariyaad ban gaye Ghamon ka paimaana taadaad ban gaye Kiya the hum, kiya tere baad ban gaye Hum rahe dil mein dabi ik sadaa, Tum wahaan poori aawaaz ban gaye Kaate mere par, meri chheen ke udaan Kisi aur ki tum parwaaz ban gaye Ab raaz ban gaye, humraaz the kabhi Bane ibrat hum, andaaz the kabhi Manzilein bataayin tumne raaston ka kiya Socha bhi ni meri darkhwaaston ka kiya Haal sanjeeda hai, dil hai udaas Aa hi na paaun ab khud ko main raas Zara teri yaad leke takiye pe sone de Zara tere liye mujhe aaj paagal hone de Khushi mere liye to tu ban na saki Zara tere liye mujhe aaj tu rone de Aaj tu manaane de yeh sog mujhe Tootne de mujhko nashr tu hone de Chal de de thode aur rog mujhe Hota hai jo bhi mera hashr tu hone de Tujhe diya hai yeh mauqa baar baar diya Tujhe humne khudpe poora ikhtiyaar diya Socha khair hai humaari muskuraaye lekin tu Tujhe hone apne sar pe sawaar diya Tere pyaar mein ho ke aar paar aaye hain Teri dagha ka hum ho ke shikaar aaye hain Kiye waade the jo zindagi bitaayein ge sang Yahaan hisse mein to din bas chaar aaye hain Is kahaani ko aisa ikhtisaar diya Jo woh shakhs tujhpe marta tha maar diya Muskuraaye the jo kabhi tera qarz to tha Par tera woh udhaar ab utaar diya Haan woh jeeti hui baazi thi hum haar aaye hain Hoke aashiqui se aise bezaar aaye hain Humein bech ke jo chaaha usne paana kisi aur ko Bikne ko sare bazaar aaye hain Zara teri yaad leke takiye pe sone de Zara tere liye mujhe aaj paagal hone de Khushi mere liye to tu ban na saki Zara tere liye mujhe aaj tu rone de Aaj tu manaane de yeh sog mujhe Tootne de mujhko nashr tu hone de Chal de de thode aur rog mujhe Hota hai jo bhi mera hashr tu hone de Zara teri yaad leke takiye pe sone de Zara tere liye mujhe aaj paagal hone de Khushi mere liye to tu ban na saki Zara tere liye mujhe aaj tu rone de Aaj tu manaane de yeh sog mujhe Tootne de mujhko nashr tu hone de Chal de de thode aur rog mujhe Hota hai jo bhi mera hashr tu hone de
Ad Soyad: b a t
Müzik Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: -
Toplam: 7 Kayıtlı şarkı
b a t hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı

Sanatçı Görseli Yok