bairagi mai rahu ya na rahu(mrynr) şarkı sözleri
Mai rahu ya na rahu
Mere shabd rahne chahiye
Mai kahun ya na kahun
Mere geet Kahne chahiye
Ab mujhe ye gum nahi
Meri aankhien nam nahi
Bharam nahi na koi chalawa hai
Bulawa hai ant se
Dikh rahe hai sant se
Par khwahisien to hongi hi
Numaishien to hongi hi
Par dil mera ubal raha
Sadkon pe jo pal raha
Kuch bhaag mere desh ka
Kuch bhukha mar raha
Sun re swarthi samaj
Meri aawaz hai naraz
Kah rahi, mahlon me wo sukh nahi
Jo hai kisi ke dil me
Mehfil me mere ye baat hai
Mera watan abaad hai
Par aazadi hai kya kisi ko nahi pata
Aur barbaadi hai kya na koi janta
Sab andhe hai napaak dhandhe hai
Hum bande hai fir bhi gande hai
Aazadi meri dulhan, mai sanaki shauhar
Koi aankh to uthaye faad ke fenk dunga
Fir dekh lunga kaun khilaaf hai
Ye aasmaan mera lihaaf hai
Nawabon ke shahar ka anokha ye nawab hai
Ye Madhyima mera jawab hai
Chahe zindagi ho jhand
Par maut pe ghamand
Mera maapdand badh raha har ghadi
Mai gadh raha har kahin
Kya galat kya sahi
Kya mujhme hai khuda
Kahin mai hi khuda to nahi
Gumshuda to nahi
Khoya khud ki talash me
Khatir jaan jo hai is laash me
Padh raha samaas mai
Sortha chaupai chand
Sumitra Nandan Pant
Harishankar parsai
Patthar aur parchai
Gareeb ki kamai
Sonch ki satai maine sonch hi kamai
Mai meri sonch hi kahun

