carvaan records shree ram şarkı sözleri

Shiv dhanush ko tod prabhu ne siya ke mann ko bhaya Mumkin karye wo kiya jo koi bhi na kar paya Ayodhya me khushiyan chaa gyi shree ram sang siya ki shaadi Pawan hogyi Nagri tab jab pada prabhu ka saya Maharaj ne bhari sabha me Raja naam elaan kiya Shree ram ne charan sparsh kar peeta ji ko pranam kiya Sabha ki saari baatein sun or dekh rahi thi Manthra Tabhi Shadyantra sa rachne ka hi sabse pehla Kam kiya Vanvaas pe bhejo putr ko Maharaj mera vachan nibhao Mera putr bhi sabme bada hai mere putr ko Raja banao Esa karo maharani na maharani ne ek mani na Putra ko mujhse dur karo na itna jyada mat tadpao Van me rahe vanvasi bankar vachan nibhana pehla Kam Jeev or jantu hath bata rahe milkar gaa rahe jai siya ram Maa ke hath me chidiya ne jab la kar ke ek pushp rakha maa ko dekh ke pyaar sa aya van me gunj utha fir naam Bhes badal kar surpnakha jab panchvati me ayi Prabhu Ram ke liye vivah ka prastav bhi layi Ardhangini meri toh siya hai laxman mera bhai Surpnakha thi ziddi badi na baat hazam kar payi Apmaan ka badla lene lankapati ne khel rachaya Marich ko swarn roop ka Sundar sa ek hiran banaya Hiran dekh ke maa ne prabhu se ichha kardi zahir Prabhu gaye hiran ke peeche bole abhi main aya Maa Sita ne dekhi jhalak prabhu ram se bola laane ko Mann hi mann me bhavuk ho rahi Swarn sa hiran paane ko Pata chala jab prabhu ram ko heeran ek chalava hai Fir ek shastra tha esa chalaya sachai azmane ko Marich tha heeran bhes me prabhu ke swar me kari pukar Maa Sita tab ghabrayi or laxman ji se kiya vichar Laxman ji ne jate jate laxman Rekha khich di Maa Sita se kari guzarish aap na karna isko paar
Sanatçı: Carvaan Records
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 2:37
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Carvaan Records hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı