ch azan ahmad fatwa şarkı sözleri

Tum meri smjh sy bahir ho soch sy pary Mai neend sy bhaagon tu khawab mai mily Tu jesy saya hai koi roshni mai b andhery sa dikhy Tu khauf sa biky or mauj sa bahy Ham dono hi bhaagi hain duniya sy Apas mai larty hain darty hain khudi sy Krty andhery ki poja yeh log bekabu hain Ishq sy darty par jismon pay marty hain Lahu sy bhar k main kaghaz jala don Main ishq k jhooty afsaany mita don Main raaton ko jaagon main alim mai fazil Main zalim hon zulm b krta hon khud pey Ishq b krta hon khud sy khudi main marta hon Ghut k ab jeeta hon peeta hon jaam akely Niraaly hain duniya ki soch sy mery yeh lafz Or koi nhi shaks hai jis pey mai krta bharosa Yeh duniya ik dhoka jo sach sabko lagta hai Jahan jhoot b logon ka lakhon mai bikta hai Dikhta hai jhooton k chehrey par noor yahan Garoor ka sar sabky saron sey ouncha hai Main teri bewajah daleelon sy tang hon Haq ki in jhooti umeedon sy tang hon Bhaagi hon khud sy mai khud ka sitara Main music k shor main jhoomty jara Yeh duniya hai jaali yeh duniya hai dhoka Is duniya k daldal mai dhasty hi jara hon mai Hosh khata mery hawas beqabu hain Banawat k masley Sabhi mujhpey Laagu hain Meri azmaish meri jaan nisaari Mery hamsafar hain mery ham qafas hain Kisi shaks k dill mai b chahat nhi hai Sach sun'ny ki jismon mai taqat nhi hai Pal pal ki tarpan hai har pal hai mautt Is duniya mai ik pal b rahat nahi hai Is duniya mai sab bas sachai nhi hai Kisi k b dill mai achai nhi hai Hansi sab ki jhooti sab zakhmon k mary hain Ham maazi k beety gunah jhutla ry hain Ham duniya k par yeh kisi ki ni hai Wafaon k darya tu sookhy pary hain Razaon k badal hain khaali sey jesy Jafaon ki bondain b baras chuki hain Is majlis e faani main behas chiri hai Yeh fatway hain meri hi zaat par Yeh fatway hain meri hi zaat par
Sanatçı: Ch Azan Ahmad
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 3:16
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Ch Azan Ahmad hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı