da-nav karamchari şarkı sözleri
Kathi patang yeh zindagi kuch hisso me yu batri thi
Aadhi daftar pe toh aadhi patri par hi katri thi
Pareshaniyan mujme yeh jaise mehengayi badri thi
Karamchari wali life yeh soch kar hi fatri thi
Lagi mehnat kaam me puri par aatma adhuri thi
Meri gardan unki churi, ha badi meri majboori thi
Kala aur mujme doori kyuki laxmi bhi zaroori thi
Jitni ye track pe karchi uthni mahino ki majoori thi
Afsos karu kab tak le chalu sath apne do shaqs main
Duniya ke samne sober lagu
Vichitra apne kaksh mein
Jaise log samne vaisa roop bane, aparchit apne paksh mein
Harr roz me joh kosta khudko, karu
Yaad jab apna laksh main
Fir sehlaya iss dil ko ki dhilasa rakh zubaan pe
Vichaar karu gehre utne jitne gehre ye ghaav hai
Mat naap isse gir padha toh vishyay
Banjayega tuthi haalat me
Apne aap se badnaam tu gharle aaya musibat saath mein
Lagti saral ye zindagi par kirdaar saare khurafaat hai
Sochu kaise jeena mujko, ha faisla ye mere haath mein
Ab pakhdu isme mic ya fir maalik ko du salam main
Yeh Sawaal kare hairaan muje apne hi khayalaat me
Aey Karamchari hum hai karamchari kyu
Yeh 9 se 5 me hi zindagi bithani kyu
Ha Mehnat haath me toh majboori kahani kyu
Aur Karam acche toh hum karamchari kyu
Aey Karamchari hum hai karamchari kyu
Yeh 9 se 5 me hi zindagi bithani kyu
Ha Mehnat haath me toh majboori kahani kyu
Aur Karam acche toh hum karamchari kyu
Daftaar pe late toh maalik ki gaali yeh bheth mein
Ha Lockdown yeh gate nikalna mushkil corporate se
Khushiyon ka podha me ugha raha sukhi reth me
Mayusi ke khet me, aaya bachi umar samet ne
Roz marra ki zindagi me kyu marr raha tu apne haathon
Adhmara sharir ye lekar kyu dab raha samaaj ke laaton
Khoj kar apni khudki bhi tu kyu aa raha agyaat ke baaton
Samaj aaye toh thike varna mubarak ho tere haalat ko
Saptah ke paach din bithe ha bharne mere kishtey
Na kaafi ye do din aate nibane mere rishtey
Struggle ye raat din, naukari aur kala ke piche
Bolke choti ganga clean, ye kichad me muje khiche
Daldal me atka jo nikla samandar se
Kankad sa lagta par parkah toh parvat me
Chanchal mijaaz mera guru khada shikhar pe
Khandar dimag tera, soch tehri banjar re
Soche jitna bura tu, me uthne hi barqat mein
Manzil pe pohchra tu dekh kar kyu hairat hai
Commerce ka ladka dekh bana engineer re
Likhayi mera pehla pyaar, isliye sukhanvar main
Janwar ki jaan dekh madari ke haath mein
Din ko hazaraat aur raat me kalakaar main
Mehnat ko ghiskar liya heere ka aakar main
Yeh kodiyon ke daam bika johri ka gulaam main
Chillar ki khann khann se sapno se ann bann
Mere apno ki kaatir me seh lunga sab ghum
Haa kal pe bharosa woh hone wala fun love
Ye Da NAV bas ek hi tu mere jaisa mat bann