daksh duniya, pt. 2 şarkı sözleri

Jo bhi tha jaise tha waise he wo thik tha, khatam kar chuke hai wo apni vastavikta, paedo ko hum kaatte khadi kare imaarte, jo hai sabka usko tera mera kahke baatte, tera bhi ghar bana kisi ke ghar ko kaatkar, jara soch iss bare mein ek dusre se baat kar, apni jarurarto ko hum jaante karib se, per jo raha hai chamak hum wohi kharidte, muskurake baat kare bane wo sharif se, kahe door hongi taklifne nayi taknik se, aur nai takniko ki wo unchi rakhe kimate, aurto per chhode wo bazaru dimake, jo kisi desh ki tarah tumhe karde khokhla, jise garv bus hathiyar aur fauj ka, aur phir issko naam hum dete hai vikas ka, khoobsurat aarambh hai ye vinas ka, vikas he vinas hai, vikas he vinas hai, waqt na ab bus ant tere pass hai, vikas he vinas hai, vikas he vinas hai... Aaj aag Laga du iss duniya ko, aur khud bhi jal jau, Haste Haste......
Sanatçı: DAKSH
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 1:40
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
DAKSH hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı