genxkavi biodiversity şarkı sözleri
Jeevo jeevasya jevanam..
Ha ye baat seedhi sadhi
Jo samjhi tumne na thi
Jeev Jeev ka jivan hai
Insaan ho ya haathi
Kudrat ko bhi tum jano
Use kareeb se bhi dekho
Tum hi nahi ho kitab yaha
Tum bas chota sa lekh ho
Aese lekh hai anginat is dharti par
Kuch daude chaar pairo pe kuch k hai par
Kuch rehte hai gehraiyon mein samandar ke
Kuch ki wajah se paate ho tum saanse bhar
Mana food chain mein upar ho
Power mein tum super
Neeche walo ka tum dhyan do
Kyuki un par ho tum nirbhar
Nature ki godd mein
Rehasya bhi hazzar hai
Jise khojne k chakkar mein
Insaan aaj bimar hai
Insano ne banaya hai
Insano ne chupaya hai
Ek baat to bata do
Kya sach mein chamgadad khaya hai
Kya sach mein chamgadad khaya hai
Jo chhedkhani ki tumne
Kudrat bhi peeche na hati
Tum andar ho jaanwar bahar
Dharti kuch yun bati
Pradushit kar k dharti ko
Sukoon se kaha lete ho
Phekte the tum panni bahar
Aaj usi mein khud ko lapete ho
Jo kara na tumne kuch abhi
Apni bhari jawani mein
2050 tak apni dharti
Puri puri pani mein
Na kehna kudrat ka prakop
Kyuki galti apni hogi
Jab karna tha tab kiya nahi
Ha galti apni hogi
Haryali mein lipti dharti hai
Na karo tum ye cheer haran
Waqt hai abhi bhi dost mere
Bacha lo tum pariyawaran
Bacha lo tum pariyawaran
Bacha lo tum jev vividhta
Bacha lo tum pariyawaran
Bacha lo tum jev vividhta