ibrar ishaq ilahi teri choukhat şarkı sözleri

Ilahi teri choukhat per bhikari ban ke aya hoon Ke aya hoon Ilahi teri choukhat per bhikari ban ke aya hoon Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon Ilahi teri choukhat per bhikari ban ke aya hoon Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki Khulasa yeh ke bus jull bhun ke apni roo-sayahi sey Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon haali Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali Yeh Tera ghar hai Tere mehr ka darbar hai Maula Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon Zuban ghar ke nadamat dil ki na'kas tarjumani per Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi data Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Sanatçı: Ibrar Ishaq
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 5:15
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Ibrar Ishaq hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı