ikyaasi se note to self şarkı sözleri
Chal mere bhai
Zindagi main lad phir
Haarke to betha phir jeetna hai mushkil
Chal mere bhai
Bethke na waqt gin
Jeet ke liye har kaam kar mumkin
Teri chot kitni gehri mujhe maalum hai
Dil ka yeah dard kisi dawaai se jata nahi hai
Tere dil ka yeah dard kitna zyada hai
Sab jaanu main lekin kisi ko batana nahi
Wo bhi jaanti thi baat saari dil ki
Kitna diya saath yaha koi nahi guilty
Tujhe zindagi main ladna hai khud
Ladke tu jeet or bajade vighul
Mere bhai sun
Kabhi haario mat
Bina jeete kahi zindagi se jaaio mat
Mujhe pata hai
Tera man na lage
Usse yaad karle bhai lekin call ko lagaaio mat
Usne choda tujhe uski thi wo galti
Seedhe sacche logo ki ha kisi pe na chalti
Kalaakari bhagwaan ki hai den
Mehnat esi kar ki tu lage sabko sanki
Jo na saath tere kesa hai wo dost tera
Tu hi tera sabse accha sabse pehla dost tera
Tu bhi jaanle bhai zindagi ka sach
Kaamyaabi hogi zindagi main sabse bada badla tera
Swabhiman ki ladaai hoto lad or zhukna nahi hai bhale tera kat jaae sar
Swabhiman ki ladaai hoto kar or haath na felana bhale jaaio tu mar
Jitna pyaar usse kiya khudse kar to le
Jitna pyaar usko diya khudko deke dekh
Tere juto main chalna hai kitna dard jo bhi deta tujhe gyaan usse bol zara chalke dekh
Naa chal paaega wo gir jaaega
Zakhm tera dil pe hai mit bhi naa paaega
Bheed ka tu hissa, bheed bhi jutaaega
Teri zindagi hai tuhi paar lagaaega
Adhoore tere khwaab, sala mar bhi naa paaega
Manga jo khuda se sahi waqt pe dilaaega
Khwaaish hogi jesi wesi mehnat bhi karaaega
Aasani se jo jeet gaye maza bhi naa aaega
Aee, yoo check
Waaki pata hai na tu kaha se hai? UP-81 Ikyaasi se Hyd Hyderabad tera sehar hai
You know what time it is?
Thanks for the lesson
Note to Self
Chal mere bhai
Zindagi se lad phir
Haarke to betha phir jeetna hai mushkil
Chal mere bhai
Bethke na waqt gin
Jeet ke liye har kaam mar mumkin