imran shaikh attari ayesha-o-fatima pe lakhon salam şarkı sözleri

Keh raha he Sarwar-e-Dunya o Dee’n ka har Ghulam Jaari o saari rahe har dam zubaan-e-khaas o aam Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam Bay gunah o bay khata hen Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما Bay riya o bay dagha hen Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما Laai he baad-e-saba Ghaus o Raza ka ye payam Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam Baa adab sar ko jhuka kar inke ghar aayen Malak Inke aanchal ko kabhi bhi dekh paaya na falak Aaya-e-Tatheer me he inki paaki ka payam Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam Fatima Zahra he mere Mustafa ﷺ ki laadli Ayesha he baais-e-chain-o-qaraar-e-Mustafi Dono ke haathon se qaaim Ishq ka saara nizaam Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam Inki ulfat asl me he ulfat-e-Zaat-e-Rasool ﷺ Inki midhat me he muzmir midhat-e-Aaqa ﷺ ke phool Wo Khuda ka hogaya jo hogaya inka Ghulam Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe har ghari laakhon salaam Aek lamha bhi juda hargiz nahi dono kabhi Aek Zoja-e-Muhammad ﷺ aek Dukhtar laadli Dono hen sheer-o-shakar dono ke lab par aek jam Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe har ghari laakhon salaam Kyun tafarqa daalte ho inke pyare naam par Kyun laraate ho tum Ummat inke khaas-o-aam par Dono ki izzat karo dono ke banjao Ghulam Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe har ghari laakhon salaam Mustahiq-e-Naar he gustakh-e-Zaat-e-Fatimi Baargaah-e-Ayesha ka bay adab bhi laanti Wo hi Momin jo hua Rashid tahay Dil se Ghulam Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam
Sanatçı: Imran Shaikh Attari
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 7:48
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Imran Shaikh Attari hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı