imran shaikh attari pakpattan ke raja şarkı sözleri
Ya Fareeduddin Ganj Shakar Baba
Ho Karam ki Nazar mere Baba
Pakpattan ke Raja Ganje Shakar Baba
Zeenat-e-Kul Jahan Baba Ganje Shakar
Raahat-e-Qalb-o-Jaa'n Baba Ganje Shakar
Mere Baba Ganje Shakar
Khwaja Hindal Wali ke ho tum laadle
Chishtiyon ki ho Jaan'n Baba Ganje Shakar
Sar ke bal chal rahe hen sabhi Auliya
Teri galyon me han Baba Ganje Shakar
Mere Baba Ganje Shakar
Teri Barkat se he Tera Pakpattan
Markaz-e-Aashiqa'n Baba Ganje Shakar
Haat uthne se pehle hi bharti gaee'n
sabki sab jholiyan Baba Ganje Shakar
Mere Baba Ganje Shakar
Saare Shaah-o-Gada pal rahe hen jahan
Tera woh Aasta'n Baba Ganje Shakar
Soorat-e-Saabir-e-Paak-o-Khwaja Nizaam
Tera Faiz Rawa'n Baba Ganje Shakar
Mere Baba Ganje Shakar
Ho Mubarak tumhen Urs-e-Baba Fareed
Haq Fareed Ya Fareed
Ho Mubarak tumhen Urs-e-Baba Fareed
Jalwafarma yahan Baba Ganje Shakar
Jhoom kar keh bhi de Rashid-ul-Qadri
Mera Dil Meri Jaan'n Baba Ganje Shakar