iota music teri wafayain şarkı sözleri
Jab bee bijli barasti hai
Wo barsatain
Wo mulaqatain
Wo kaan may kahi batain
Wo kahi suni batain
Sub yaad atay hain
Kaaash!
Chaha hota tum nay mjhay meri tarha
May tujh ko apna banata, Teri tarha!
Teri tarha!
Teri wafayain daikh lein ab jou
Toot gya hun jurh be nae sakta
Teray liye jo aashk bahayee!
Oo meri jaana! Bhool nae sakta
Matlb key duniya may, may
Raha bay khud saa
Tujh ko samjhta raha
Hamesha may khud saa
Teri bewafai k qissay buhot hain
Chup karata raha khudko
Larta raha khud say
Ek he baat tujhay
Bhoolnay nahi deti
Blame daala mujh pay
Aur bolnay bee nahi deti
Uss ko meri baton pay pyar ata tha buhot
Uss ko meri baton say honay lagi hai chirh
Haan! Itni qurbat bee sahi nahi muhabat may, Duur hojatay hain mil nahi paatay phir
Tuu bol k tou daikhti
Tujh pay jaan waar daita
Teray ek isharay pay haazir tha mera sir
Ab bee qadmon may khud ko rakhun teray,
Gilay chor meri jaan kabhi aa k mil
Jaatay jaatay duwayain dein mujhay
Mujhay tum chahya thyy duwayain nahi aay dil!
Teri wafayain daikh lein ab jou
Toot gya hun jurh be nae sakta
Teray liye jo aashk bahayee!
Oo meri jaana! Bhool nae sakta
Bhool kaisay jaaon?
Tujhay meri jaana.
Waaday kiye thay,
Tuu nay kahin nahi jaana
Na tuu nay mujhay jaana
Na may nay tujhay jaana
In 5 saalon may tujhay na pehchana
Meri ankhon pay pati bandhi thyy maana
Teray wadon may tha khot, tuu b bata na
Meri baton pay jag hasa na
Kitna bay dil zalim hai zamana
Tujha day dun jaan apni
Konsi bari baa jaana paisay kamana
Khud ko maat deta khud he may,
Ek baar bolti, khud ko hara na
Aisay he na chorti, mujhay meri jaana
Koi tou jaana bana leti bahana.
Aaj teri saalgira hai, aur judayi key barsi b...
Tumhay wish karnay wastay bana diya gaana........

