iqbal kashti (feat. aaishay) şarkı sözleri

Iss jungle main sahara kon Shikar koi bana kal, shikari nay aaj maara kon Gaara kon, daaka daal kar aakhir bhaaga kon Khilara dalnay walon ko khilata kon Iqtedaar main aatay siraf zaalim Aalim sarkon par banain phirain Stalin Baatil aur Haq main farq khatam hona laazim Jab qanoon survival of the fittest jaisay Darwin Bhook ka maara, mulq aur toot ta Daur doosra, nizam wohi jhoot aur loot ka Jahalat kay andheron main doobta Insaani huqooq kay baray main yahan dars daitay bourgeoisie Mahalon main jinkay roz jashan Jab muhalon main roz mahaul e matam Jakar rakhoon maazi ka daman Khawab dekhnay walon kay liyay roz 1857 Badlain apnay shehr sooraj dhalnay kay saath Bichray humsay kitnay wo jo kal ko thay paas Doobti hui kashtiyon main dhoodna kya ghar Doobti hui kashtiyon main Dosti siraf apnay qaffan say Kalashan wali jangain laroon qalam say Karain saazish par soch ye maachis Lafz aatish, suntay hi pathar dil parain naram say Hill paray rooh, rang uray shakal say Mill kharay door, dar lagay dakhal say Tareekh kay abhi taaza hain zakham Banatay aur hathyaar taur, tareeqay, deen, dharam kay Lagay jo afsurda betha ho Ankhain uski chamak dain lahoo jab behta ho Civil war sadak pay, media blackout Inkay leader par tanqeed tho apnay kartay lash out Mahalon main jinkay roz jashan Jab muhalon main roz mahaul e matam Jakar rakhoon maazi ka daman Khawab dekhnay walon kay liyay roz 1857 Badlain apnay shehr sooraj dhalnay kay saath Bichray humsay kitnay wo jo kal ko thay paas Doobti hui kashtiyon main dhoodna kya ghar Doobti hui kashtiyon main
Sanatçı: Iqbal
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 2:52
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Iqbal hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı