iqbal sab maya hai şarkı sözleri

Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai Sun zara, kattar pan ko bund kar Kashmiri bachon jaisay, inn muthiyon main kankar Iqbal kai illawa millay rappers sab lafantar Awaam kee bheed saath, lagay daata saab ka langar Mehnat, mushaqat aur jaddo jehad ka juggar nahin Pooray khittay main apnay jaisee kissi kee bars nahin Hard nahin, jahalat ka ilaaj nahin Sach boloon tho tairay lyrics main kuch khaas nahin tuu sun zara Bohat daikhay, tairay jaisay mainay bohat daikhay Bari baaton walay khoklay yahan 100 daikhay Aur betay, iss qalam main jo aag hai Roz aur bharkay jaisay Australia kai baagh hain Har taraf phadday, par oopar sai sab saath hain Danishwari kai naam gaali galoch aam hai Jaali log, andar taanba, bahir sona Mask sabkai moo par jaisay smog ya corona Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai Shukar kar mujh sai para paala nai Jahan bajjay Iqbal wahan chalta taira gaana nai Public saath tho kya dar, kabhi rakha daalaa nai Asal living on the edge, waqar zaka waala nai Fasaad hai har taraf, phailay jab roz fitna Rakha Manto ka tanz aur Jalib ka josh zinda Par note ginna siraf maqsad ho jinka Poochain "beta aap kitna kamaa laitay din ka?" Meri baat sun Kabhi tho Iqbal ka saath chun Sawaal karain jaisay FBR kai karkun Par waseeh apni soch, Mulakaat e Bandung Har falsafi kai samnay ye likhayi hairankun Yahan jo, Zauq ka fail hai wo maut ka khail hai Tanqeed karnay walon kee yahan manzil jail hai Jaali log, bus TV pay rona dhona Mask sabkai moo par jaisay smog ya corona Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai
Sanatçı: Iqbal
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 2:25
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Iqbal hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı