Ishan Singh

Kaun Ho Tum? (feat. Ali Armaan Zainvi)

ishan singh kaun ho tum? (feat. ali armaan zainvi) şarkı sözleri

Shaayad tum iss kamre mein basa thehraav ho Jo kisi shor see bhi nahi ghabraata hai Jo bin bole bhi sab keh jaata hai Jo kabhi farsh par pade kaagaz Toh kabhi maez par rakhe phool mein basa reh jaata hai Kya ho tum Kaun ho tum Shaayad tum ussi kaagaz se bana vo aeroplane ho Jisse maine ab balcony se udaa diya hai Ye karne se usmein likhe narm shabdon ka saar Poori duniya ke paar ho jaata hai Udna vo bhi chahta hai Iss neele aasmaan mein vo bhi khona chahta hai Par uss malmal jaisi hawa ke bagar Vo bhi besahara bageeche mein gir jaata hai Kya ho tum Kaun ho tum Shaayad tum uss bageeche mein khelta vo masoom baccha ho Jo shararat kar kabhi iss ohr toh kabhi doosri ohr bhaag jaata hai Jo zor zor se thahaake lagake kabhi khud toh kabhi apni maa ko hasaata hai Aur phir ussi phool ki carrey mein jaakar chip sa jaata hai Kya ho tum Kaun ho tum Shaayad tum vo phool ho Jiski carrey mein vo masoom roz kho sa jaaega Aaj vo phool jo rang biranga hai Usse todke aaj phir koi gunhegaar kisi ka saath nibhaaega Par uss aashiq ki kya samajh Ki uske mann ki tarah vo bhi phool bhi ek din mathmaila ho jaaega Jo kabhi uske baalon mein suhaata tha Vo ab sirf maez par pada murjhaega Kya ho tum Kaun ho tum Mera bepanah ishq ho tum Usmein basi soch ho tum
Sanatçı: Ishan Singh
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 3:00
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Ishan Singh hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı