jahan-e-mehboob aastan hai ye kis shahe zishaan ka| new manqabat of ghous-e-aazam| şarkı sözleri
Allah re kya bargahe gouse jali hai
Gardan ko jhukaye huye ek-ek wali hai
Har gaam pai sajde ki tamanna hai jibin ko
Ye kiska dare naaz hai ye kiski gali hai
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Bide daste yaqin aye dil badaste shahe jilani
Ke daste kubuwad andar haqiqat daste yazdani
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Nishane shane bechuni bayane sirre maknuni
Ba sirat misle-paigambar ba surat murtaza-saani
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Qadam se aapke ronak hai saare bazme imkan ko
Shahe-aalam shahe jinno-bashar sarkar-e-jilani
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Janab e sayyeda ka wasta hasnain ka sadqa
Karam kijiye khudara "raaz" par sarkaar e gilani
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Qalb haibat se larzan hai insaan ka marhaba-marhaba
Hai asar bazm par kiske faizaan ka marhaba-marhaba
Ghar basane meri chashme viraan ka marhaba-marhab
Ghar basane meri chashme viraan ka marhaba-marhaba
Chand nikla hasan ke shabistaan ka marhaba-marhaba
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Sar ki zeenat amaama hai irfaan ka marhaba-marhaba
Jubba tan par mohammad ke ahsaan ka marhaba-marhaba
Rang ankhon main zehra ke faizaan ka marhaba-marhaba
Roop chehre pe aayat-e-quraan ka marhaba-marhaba
Saj ke betha hai noshah jeelaaan ka marhaba-marhaba
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Bazme kono makan ko sajaya gaya aaj salle ala
Saiban rehmaton ka lagaya gaya aaj salle ala
Ambiya auliya ko bulaya gaya aaj salle ala
Ibne-zehra ko dulha banaya gaya aaj salle ala
Urs hai aaj mehboob-e-subhaan ka marhaba-marhaba
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Aashna manzalat kiska aiwaan hai wah kya shaan hai
Aaj khalke khuda kiski mehmaan hai wah kya shaan hai
La takhaf kiska mashhoor farmaan hai wah kya shaan hai
Bil yakin vo shahenshahe-jeelaan hai wah kya shaan hai
Haq diya jisko qudrat ne ailaan ka marhaba-marhaba
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Gulshane mustafa s.a.w ki faban aur hai ye chaman aur hai
Shahe abraar s.a.w ki anjuman aur hai ye chaman aur hai
Buye guldastaye panjatan aur hai ye chaman aur hai
Shan-e-aale hussain o hasan aur hai ye chaman aur hai
Sarmadi rang hai is gulistaan ka marhaba-marhaba
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba
Mazhare zaat rabbe qadeer aap hain dastageer aap hain
Karwaane karam ke ameer aap hain dastageer aap hain
Shahe baghdaad peerane peer aap hain dastageer aap hain
Is "naseer" e hazin ke naseer aap hain dastageer aap hain
Koi hamsar nahi aapki shaan ka marhaba-marhaba
Aastan hai ye kis shahe zishaan ka marhaba-marhaba

