jahan-e-mehboob mangta hussain ka| pushton se mein naseer hun mangta hussain ka| imam hussain| new manqabat şarkı sözleri
Kab se tere huzur hain ba-chashme nam hussain
Mohtaje yak nigah hussaini karam hussain
Anjaam e akhirat bhi hai ab tere hath main
Hath apne tere hath main dete hai hum hussain
Pushton se main naseer hun mangta hussain ka
Virse main maine paya hai sadqa hussain ka
Kafi hai mere waste nakde ghum-e-hussain
Chalta hai har jahan main sikka hussain ka
Qabze ki zad main aaj hai medane-hashr bhi
Kurban jaun marka dekha hussain ka
Iska saboot de diya asgar ki jung ne
Sheron ka sher hota hai baccha hussain ka
Nabiyon ki roze-hashr ye farmaishen na hon
Aazaan ho bilaal ki sajda hussain ka
Meezaane-hashr ki mujhe kya fikr ho "naseer"
Bhari hamesha rehta hai palla hussain ka
Pushton se main naseer hun mangta hussain ka
Virse main maine paya hai sadqa hussain ka

