jahan-e-mehboob qaseeda burda-shareef | maula ya salli wa sallim | naat shareef şarkı sözleri
Baji shahnaiyaan ghar ghar arab ma chand utaro hai
Julam ke chhat gayo badal ghata rahmat ki barso hai
Sitaron ki tarha nabiyan ne is chanda ko ghero hai
Har ik bhagwan ke ese roop ke darshan ko tarso hai
Gulabi gaal ghungharaai latain suraj se mukhade ko
Najar bhar dekhle koi to sari umr tarso hai
Maula ya salli wa sallim daiman abadan
Alaa habibi ka khairil khalki kul lihimi
Muhammadun Sayyadul Quoneni was saqlain
Wal fariqaini min arabinw wa min ajami
Tasawwur Bandh kar dil mein tumhara ya Rasool Allah
Khuda ka kar liya humne nazara ya Rasool Allah
Khuda ka wo nahin hona Khuda uska nahin Hona
Jise aata nahin hona tumhara ya Rasool Allah
Khuda hafiz Khuda nasir sahi lekin ye mehsher hai
Yahan to aap hi denge sahara ya Rasool Allah
Koi aamal bakhshish ke nahin lekin mere aaqa
Mein aasi hun magar hun to tumhara ya Rasool Allah
Howal habibul lazi turja Shafaatuhu
Likulli hawli minal ahwali muktahimi
Maula ya salli wa sallim daiman abadan
Alaa habibi ka khairil khalki kul lihimi
Assalam Ae Badshahe, Deeno Duniya Assalam
Assalam Ae mere Aaqa, mere Maula Assalam
Assalam Ae Waqife asrar-e-Haq ilmo amal
Assalam Ae baise takhliqe duniya Assalam
Assalam Ae Shafa-e-Roze Jaza, Roze-e-Qayam
Assalam Ae besaharon ki tamanna Assalam
"Raaz" ke bhi Raaz ka koi madawa kijiye
Assalam Ae dard mandon ke masiha Assalam
Maula ya salli wa sallim daiman abadan
Alaa habibi ka khairil khalki kul lihimi

