kaafi toota khilauna şarkı sözleri
Thi maasoom si duniya, bhole se the hum
Zyadatar khushiyaan thi, thode se the ghum
Ulti thi pairon ki chappal humaari, dadi ki godi mein sunte khaani
Papa se pit kar phir mummy se rona, pyaara tha sabse woh Toota Khilauna
Nange pairon geeli ghaason pe bhaage the
Baatein banaane mein hum sabse aage the
Kande pe basta tha, tedhi si tie, kaafi sharaarat phir kaafi pitaayi
Kaisi yeh duniya hai, kya ban gaye hum
Thodi si khushiyaan hai, zyadatar hain ghum
Na apna khayaal na kisi ki fikar na aata nazar ki ab jaayein kidhar
Khada tha bazaaron mein
Gumsun nazaaron mein
Sapne jo dekhe the
Bikte hazaaron mein
Baatein kitaabon ki
Khushboo gulaabon ki
Aaj hu yaad main
Kal tum bhula dogi
Kaagaz ki kashti mein behte chale hum, saari baatein tumse kehte chale hum
Itna saara bojh sehte chale hum, jaan ab bachi nahi, kaise chale hum
Aaya hai duniya mein, kuch waqt pehle
Jaane ki soche kyu? do pal toh rehle
Do pal toh rehle aur jaane se pehle
Kuch dard sehle, chup kyu hai jaane kyu
Do shabd kehle
Do shabd kehle tu, do shabd kehle
Khada tha bazaaron mein
Gumsum nazaaron mein
Sapne jo dekhe the
Bikte hazaaron mein
Baatein kitaabon ki
Khushboo gulaabon ki
Aaj hu yaad main
Kal tum bhula dogi
Kaagaz ke jahaazon mein, duniya dekhi thi humne
Aur uske chakkar mein, kitni notebooks faad ke feki thi humne
Homework poora na hone par
Bukhaar ka bahaana tha
Aur bat toot jaane par papa ko naye ke liye bhi manaana tha
Yaad karu toh aise kayi kisse yaad aate hain
Jo har baar chehre pe muskaan aur aankhon mein nami de jaati hain
Jab chhote the toh bas bade hone ka intezaar tha
Ab bade ho gaye hain toh lagta hai ki bachpan hi acha tha
Zaalim si duniya hai khaali se hum
Peeche sapno ke bhaage hain khushiyan khatam
Saare log daale namak zakham pe
Sehte hi jaa jate hain mahram nahi hum pe
Jigri the yaar unka naam tak yaad nahi
Jaa rahe the aage par khade hain hum wahin
Hum kahin hain gum yahan, kaash hote hum wahan, ho tum jahan
Dekho iss bheed kade akele hain
Logon ne peeth pe khanjar bhi pele hain
Kaun hai apna aur kaun hai saanp
Logon ke chehre mukhauton ne ghere hain
Khada tha bazaaron mein
Gumsum nazaaron mein
Sapne jo dekhe the
Bikte hazaaron mein
Baatein kitaabon ki
Khushboo gulaabon ki
Aaj hu yaad main
Kal tum bhula dogi