kabeer sabharwal 1:53 am (last call) şarkı sözleri

Calling.... 10 baar call cut kar chuki hoon tumhara main So rahi hoon main Tumhe samajh mein nahi aata kya? Mujhe kuch jaruri baat karni hai tumse.. Aree aisi bhi kya jaruri baat hai jo tum subha nahi kar sakte Ab bas bohot hua, ab aur nahi Matlab? Din wo pyaar wale, mujhko chahne wale Gar bachi hon yaadein, unhe mitade Naam tera jinpe , tooti hain wo saansein Jeena chahta hoon main,mujhe bhulade Jaana maine tujhe jo bhi kuch diaa hai Jaane mera man kaise kaise kia hai Har dam hi wo kam kyun hai laga tujhe Maine khud mein tujhko jiyaa hai Jab jab jarurte meri tha main wahin Roya main roya tha, rone tujhe dia nahi Maangi maafi maine galti ho kisi ki bhi Laga tujhe ki wo teri wafa hai Kabeer tum paagal-waagal ho gaye ho kya... huh Tumhe pata bhi hai tumhe kaisi ladki mili hai... Acha thik hai... tumhe jo bhi bolna hai bolo Din wo pyaar wale, mujhko chahne wale Gar bachi hon yaadein, unhe mitade Naam tera jinpe, tooti hain wo saansein Jeena chahta hoon main, mujhe bhulade Judd gaya hoon aise, chhut na main paun Khol de ye taar jinse main bandha hoon Tujhpe waari maine, khushiyaan apni saari Bikhre khwaab leke aaj main khada hoon Jaanta nahin main, sach hai ya bharam ye Tere bin naa jee sakun, ye kehta tha main Ghut raha hoon lekin, aur wajah bhi tu hai Tu kar yun mujhko tabaah na aise... Tujhse na mera waada raha... Kabeer, tum hosh mein bhi ho tum bol kya rahe ho Tujhse na mera naata raha Dekho mujhse aur nahin suna jaega ye sab... Tujhse na mera waada raha Tujhse na mera naata raha Tujhpe na mera saaya raha Gar sunti tum pehle toh... Hello, hello, hello kabeer, hello (call cut...)
Sanatçı: Kabeer Sabharwal
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 4:38
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Kabeer Sabharwal hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı