kay hardz khudse door şarkı sözleri

Khudse dur bas ho na main chahun Dil bhara hai yeh main kise samjhaun Taras gaya hun yeh kaise main bataun Aarahi neend hai aur sona hi bas chahun Aati neend hai par ate kabhi sapne nai Khudko dekha maine, karta kisise baat bhi ni Khoya khoya sa hi rehta hun khayalon mein Aur sochun din raat kya banaun mere gaano mein Aati yaadein bhi purane mere doston ki Umeed lagaye baitha, hoga kuch khas kabhi Ayi na call, na mili mujhe koi invitation Jakad rakha tha maine, tut gaye yeh relations Kosun khudko, jaise khudko khudse pyaar nai Sochun udna, par han khudpe hai viswas nai Bhatak raha hun, han manzil ki bhi talash hai Yeh saccha pyaar dhunde, dil mera naraz hai Dil hai bhaari, ab na karta yeh mehsus kuch Hans bhi deta hun par rehta main zara na khus Hai zaroorat ab bas aise ek yaar ki Jo bole bhulja, saari baatein beeti raat ki Khudse dur bas ho na main chahun Dil bhara hai yeh main kise samjhaun Taras gaya hun yeh kaise main bataun Ayi neend hai aur sona hi bas chahun Khudse dur bas ho na main chahun Dil bhara hai yeh main kise samjhaun Taras gaya hun yeh kaise main bataun Ayi neend hai aur sona hi bas chahun Ayi neend hai par na arahe yeh sapne hain Ab sochta hun ki kon mere apne hain Tanhai mein hain dur, jo kabhi saath the Main janta hun ab kon mere apne hain Aate sapne kaash na hoti bechaini mujhe Aate sapne to main so jata bin bechaini ke Aate kaash.... Aate kaash... Aate sapne to main ladta un sapno ke liye Kehna chahun bas, dil ki ek baat hai Han jinse pyaar karta, wo mere maa-baap hain Hai dar bhi lagta, main ho na jaun dur unse Isi wajah se khudko kosta hun main Najane kyun ab akela hona chahun main Najane kyun khudko khona hi ab chahun main Najane kyun bas akela rona chahun main Najane kyun ab khudko bhi na pehchahun main Khudse dur bas, ho na main chahun Dil bhara hai, yeh main kise samjhaun Taras gaya hun, yeh kaise main bataun Ayi neend hai aur sona hi bas chahun Khudse dur bas ho na main chahun Dil bhara hai yeh main kise samjhaun Taras gaya hun yeh kaise main bataun Ayi neend hai aur sona hi bas chahun
Sanatçı: Kay Hardz
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 3:22
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Kay Hardz hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı