k.v. tu thi hi nahi meri şarkı sözleri

Vo peheli mulakaat jb mili tu mujhe Aati hai vo yaad bhulu mai kese Saath bitaye humne kitne din Chali gyi chodd tu wajah thi paise Kese sunau dard ye mera Dil sabse chupata sirf mujhe hai kehra Koshish Nhi ki tune mujhe smjh ne ki Tu meri nahi pr Mai hua tera Mai tere nashe mai hu chur Tu Pass hoke bhi kyun mujhse dur Tu hi thi galat us daur mai Mai smjha jamane hai zalim uska kasur Mai Kasur-e-mohobaat ka gunhegaar Everything is fair in love & war Mai krta tha baate tu hoti thi bore Ab tu chahti hai krna mujhe pasand ni shore (Isliye) nahi likhta AFSANAY mai Fir taaje honge jo jakham purane hai She think ki mai bhul gya use She don’t know hum aaj bhi dewane hai Dewano ki basti mai mera ek ghar Yaha Puchte hain log aaj kese idhar Kiya tha pyaar vo gya bickhar Mohobaat se ab mujhe Lgta hai Dar Roz raha tha mar apne sapno mai Lgta tha geaar kuch apno mai Tum kalam-e-mohabbat kya smjhoge jasbaato ko bandha hai beta kafno mai Honge dafan ab saare jasbaat Smjh ni sakte tum mere halaat Gehra ye raaz aanshuo se hai baat Lunga mai badla hai sabka hisaab Mai kitab ki tarah tujhe padta ra Nagina smjh ke gadta ra Na jane kyun tujhpe Marta ra Le dubi mujhe teri chah Mangi thi maut Zindgi kfa Piya tha zeher vo ban gyi dva Na jane kyun ro ra tha mai bewja Tujhe tha chaha pr tu bewfa Saza-e-ishq kyun maut Nhi Ishq ka mujhe ab shauk Nhi Galat thi tu aur log sahi Dil ye marij pr ab dva Nhi Gawah boht meri mohabbat ke Chaha tha maine tujhe puri siddat se Vo thi majbur apni ek aadat se Milu Khuda se kru sikayat ye Likhega khuda jb teri ghustaki Feeke ye lafz kuch bacha ni baki Zindgi mai pap tune liye h kafi Mangke bhi tujhko mile na mafi Lunga talasi jb tere Armano ki Dhoka hai jaat tum jese Insano ki Jla do seher aur basti anjano ki kholunga raaz tum bhi ye manogi Gharvalo ki sunta agar us waqt Pehchaan jata vo praye shaqks baate thi jhuti, jhuthe saare lafz Jakham hai gehre fir kese du baks Nusk kya nikalu ab teri mohabbat mai Sayad kuch kami thi meri hi siddat mai Meri hi mannat mai meri hakkikat mai Meri nasihat ab teri garimat hai Tujhpe na likhu to kalam kharab Bhejunga khaat to kya dogi jawab? Khuda ke pass hai ek ek hisaab Ek ek kitaab mai tera ek ek paap Bachi hai rakh mere in haatho mai Gulab si tu par lipti in kaanto mai Aaj bhi h dard teri un yaado mai Kaha thi tu jab akela tha raato mai
Sanatçı: K.V.
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi:
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
K.V. hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı