maahir underwater şarkı sözleri

Behas o mubaisa khamakha Usse cheen k tu khana kha Maahir jane duniya khonkli Us bache ki khushiyan nochli Mere zameer pe koi bojh nahi Tajassus har cheez ki khoj kari Taleem hai par ghaib ki baaton se anjaan Shaitan asal toh ye mitti se bana insaan Pal main tola pal main maasha Bana diya zindagi ka tamasha Rasta koi bhi pakro har rasta maut ko jata Akhri mor pe har banda khuda ko pata Logically baat ki ja rahi is beat pe Par hum ko kya hum thehre dheet se Haadsaat ho rahay aj kal kayi ro numa Nafarmani dekh aulaad ki tu ro na maa Zinda toh hai par humne kho di Jaan Ya Insaniyat kho betha hai Insaan Khud ki banayi musibat se pareshaan Faida jisme wo cheez hi de nuqsaan Naik banain par burayi ki taraf sara rujhaan Khuda ka shukar nahi tabhi sab viraan Upar jo paish e nazar woh qayamat k nishaan Yeh haqeeqat pe mabni sara unwaan Baaton ka ambaar main lagaye betha Par log nahi tayaar mehfil sajaye betha Ek boond ilm tera par samandar deep hain Is main he ghuroor karte huh kitne ajeeb hain Maahir gehri gaaton ka khateeb hai Koshish karlo nahi larr paoge naseeb se Humari zindagi ek safa bas kitaab ka Bhoolna mat Allah uska adeeb hai
Sanatçı: Maahir
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 1:36
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Maahir hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı