maarij far and near (feat. wustaaz) şarkı sözleri

In haathoun ki lakeeroun pe Kiun tera naam nazar aye Tu na sath aur hum faqeeroun se Tere aagay gir jayain Tu khudgarz Likhun main kese yeh dard Jamtay hain haath, mausam hai sard Tu door bhi jese yeh arsh Aur betha main farsh pe Kar raha sabar Tere hi roothne ka dar Kha jaye dil yeh, kahan jaye dil ye Tujhse hi milke Gham ye mitaanay hain Tu hi hai aakhri fard Hn teri hi yaadain jagati Arsoun se mene thi raatain nhi jaagi Naveli woh ayi yahan pe Na veli woh paas nhi aati Kiun, tu matlabi Dil main tu mere kiun sar chari Har barhi na bartari Hn tu hi dikhay mujhe har gali Main be(Bae)-bas Khud ko ragarh dun har aik waqt Ruk lu tou kon dekhe yeh sab Luqmay bhi lgte hain rait ab Lait kar Sochun bs tere hi baaray Kese kamray ki chhat pe sitaaray Dikhtay hain, aksar woh mujhe bula rahay Hn zindagi jee rahay bs rab ke sahaaray Woh jaantay Rooh meri, aur khuwaab tere Haathoun main haath tere Woah Bhookay hi tere deedar ke hain Aur band yeh raastay hain Tanhaiyoun main In haathoun ki lakeeroun pe Kiun tera naam nazar aye Tu na sath aur hum faqeeroun se Tere aagay gir jayain Ab is siyahi ka rung bhi laal hay Lagay guzar gaye saal, ab bura yeh haal hay Ab zehen k sath yeh dil shumaar hay Teri yaadayn satayen, musalsal bimaar hayn Han kehnay ko baatayn thi bohot Par aagay main tere tha rehta khamosh Tu dil k sheher mai hay mehez toofaan si Door hay tu ab mehez gumaan si Ab hungama dekh na tu Tujhy laga main andha, na dekhta hun Ab na aati hay neend na hi baaki umeed Tujhy kiya bedhakal tu jaati nahi Tou reh idher hi Mera kya? jata hun main bikhar hi Main idher hi Lehron ki maanid tu therti kab thi? Khayr ab sab theek Kehney ko kehdeta hayn hi lafz nahi Hay sabar nahi Ya Isha na ho ya phir ho Fajr nahi Rooh meri, aur khuwaab tere Haathoun main haath tere Woah Bhookay hi tere deedar ke hain Aur band yeh raastay hain Tanhaiyoun main In haathoun ki lakeeroun pe Kiun tera naam nazar aye Tu na sath aur hum faqeeroun se Tere aagay gir jayain In haathoun ki lakeeroun pe Kiun tera naam nazar aye Tu na sath aur hum faqeeroun se Tere aagay gir jayain
Sanatçı: MAARIJ
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 4:31
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
MAARIJ hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı