madara tukde tukde gang ? şarkı sözleri

Halak se nikli baat yahan JNU kyun sasta hai Sawaal banta tera private college main kyun kat ta Satta pe beithe leech, fees se gareeb noche Yahan ghoose deke padhne waale JNU pe bhonke Jhonke school paatal main , murti aasaman main Sangarsh ka harsh bethi bagawat pe beti Aawaaz aag ka taap, vidroh ka haav bhaav Kehti bahaav ke saath aksar laashe hain behti Tu maun bakra yaun tujhe katne ki hai aadat Sapnon pe tumhaare in gawaaron ki likhawat or Nizamat ka chaiwaala padha likha hota To is haq ki ladaayi main saath khada hota Haan chaar gaadi waala neta free ka rashan khaata kyun Utre hain sadak pe kyun AIIMS, IIT, BHU Uttrakhand ke ayurvedic college main bawaal hai Safed kurte main neta ban beitha dallal hai Tera ek neta einstein ki gravity pe atka hai Ek bola mor aansu peeke bacha karta hai Ek gaaye ka moot pilake karta cancer theek Khud hota jab bimaaar tab AIIMS main jaa ke padta hai Ye tukde tukde kon hai, Jo shiksha ke dallal hai Ye tukde tukde kaun hai, bikaau patrakaar hai Ye tukde tukde kaun balaatkaar pe maun Chowkidar ka hai bhes par godse ki kaum hai Ye tukde tukde kon jo desh bantwaate hai Ye khud ki aulaadon ko videsh main padhate hai Haq ki ladaayi main ye laathiya chalvaate hai Or anpadhon ko yahan beta bhakt banaate hain Kya khaak tarraki karega mera desh ye Kisaan latke hain khet pe , ladki marti hai rape se Balaatkaar karne waale mantri ghoome pradesh main Or 56 inch ke seene waala ghume videsh main Yahan haal hai behaal , patrakaar hai betaaal Mallal ki ye baat, bemisaal tum haraam ho Zehan ki ye baat ek pankti main bayaan karun to My dear friend tum kadve ho dallal ho PHD pe kanhaiya ki logon ko swaal hai Khud ke neta paas kiya MA 33 saal main Media to mauji ki godi main soti hai Kutton ke chaatne ki bhi seema hoti hai Haaan fek degree waale tujhko kya padhaayege Bnaayenge ye mandir or pakode talvaayenge Bhaktkaayenge muddon se sarkaar ye leechad hai Keechad main kamal nahi kamal hi keechad hai Ye tukde tukde kon hai, Jo shiksha ke dallal hai Ye tukde tukde kaun hai, bikaau patrakaar hai Ye tukde tukde kaun balaatkaar pe maun Chowkidar ka hai bhes par godse ki kaum Ye tukde tukde kon hai jo desh bantwaate hai Ye khud ki aulaadon ko videsh main padhate hai Haq ki ladaayi main ye laathiya chalvaate hai Or anpadhon ko yahan beta bhakt banaate hain
Sanatçı: Madara
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 3:07
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Madara hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı