nabeel akbar & aadibeats janay do şarkı sözleri

Gumnaam madhosh ghumein saari raat Kitno ko dafan kia kitno k dafan raaz Nashay mein nai hosh kitno ko raghar dia Kitno ko kitne se kitna kuch kardia Bhuley mjhe ese jese laga k mein margya Apnay they mere saluk sagay se bhi bura kia Meine bhula dia Dhuwein mein sb ura dia Kehlo meine takht ka hi rukh jese ghuma dia Hoke tm sb jesa bhi mein kaafi tmse alag Di ek akele aadmi ne baazi puri palat Shuru se jazbaati meine kaha tha na paji Karta baatein saari sahi bus h krne ka tariqa ghalat Close walay dur dur walay close mere Nikley saanp saray wo jinhe samjha tha dost meine Hota nai kisi pe jaldi se eitbaar mjhe Hota boht farq cheezein karnay or bolnay mein Kiun mein larta usse jisko meine mana bhai? Kiun giraata usse jisko meine raah dikhai? Aj wo bana phire dushman meri jaan ka Jo pairon mein gira tha kal jb uski meine jaan bachai Akbar lekar betha dushmani q khamakhahi Wafadaron k sath hoti rehti bewafai Kiye waaday tw phir puray bhi nibhaye Ab teri tarah har koi ho esa bhi tw zaruri nahi Kiye gunah mili saza I got no regrets Saara kuch gawah chuka now I got nothing left Kuch nai khonay ko tw saara kuch hai paanay ko Ab haar kuch mein sakta nahi choro janay do Choro janay do Choro janay do Isse pehle k tm haathon mere maaray jao Raastay se hato mere.choro janay do Kuttay bhookay bhonkay dalo inko khaanay ko Jhoot moo pe bolay maaro isko saalay ko Hochuki tmhari kutton jesi haalat Jidhr dikhe paisa bethke wesei tm bhi dum hilaatay ho Tum wese bilkul nahi jese nazar atay ho Tum apni asliyat ko dunya se chupaatay ho Jhootay fasaanay gao jhootay apnay gaanay gao pr Kisi se na sahi daro apnay Khuda se tw Kabhi tw mar k tumhein bhi shakal usko dikhani hogi Jisne di h zindagi usi ko phir lautaani hogi Waqt lagta h magar Rab sab ka hai Kabhi na kabhi qeemat gunahon ki chukani hogi Palay barhay mere sarkon pe foji Banay pakkay khiladi wo bhi umron mein choti Mjhe khushi mjhse chale teri roti Tere munde busy lagey meri karney mein copy Jism ka jese rooh sath chorgayi Mein reh nai sakta chup mjhme qabu or nai h Karway alfaaz mgr sachi kare baat Ye sab mein nai bolrha hun ye sb daru bolrahi hai Bhoolnay na dena Rab mjhe meri auqaat ko Mjhe bhook nai tm ye puri plate chaat lo Neend nai arhi tw ye lo ek or goli taaplo Pait nai bhara tw ye lo ye wala bhi chaap lo Kiye gunah mili saza I got no regrets Saara kuch gawah chuka now I got nothing left Kuch nai khonay ko tw saara kuch hai paanay ko Ab haar kuch mein sakta nahi choro janay do Choro janay do Choro janay do Isse pehle k tm haathon mere maaray jao Raastay se hato mere.choro janay do Ek yaar tha mera jispe daulat saari luta di Ek yar tha mera mjhhi se kargya daghabazi Aksar ati mjhe yaad wo jo nai ab mere sath Ek yar tha mera mjhe jo kargya sharabi Ek yaar tha mera jise nashay ki lat kha gyi Ek yaar mera jigri magar mjhse milta nai Saaray yaaron keliye karta mein hun dua Khuda khush rakhey unhein bhi mjhe dete jo bad dua Kisi ko pata nahi kb kese kia hua Hum bata na sakey kisi ko dil bangaya ek quwwan jese Na hogi kabhi lagta isme gham ki kami ese Badal de maazi mera lele mjhse sabhi paise Mitaadey hatheli se mere jo ye daagh rehte Mjhe meri jaan dede Ya phir meri jaan lele Milaade mjhe mere tu parwardigaar se Khof nai mjhe mein maut ko bhi milun saamne se Zamana jali aksar bhari parti karni neki Qatil ghume khulla laapata hawwa ki beti Badla le jo ulta dunya usko mujrim kehti Mjhe mila tw khud mardunga mein usay bhi Kiun sunun mein baatein jb madad nai meri kisi ne ki Kiun mangu mein maafi jb pata k galti meri nahi thi Kis ne kisko kitna diya?Kisne kisse kitna liya? Aja beth bhrwe dono baat karein zindagi ki Kiye gunah mili saza I got no regrets Saara kuch gawah chuka now I got nothing left Kuch nai khonay ko tw saara kuch hai paanay ko Ab haar kuch mein sakta nahi choro janay do Choro janay do Choro janay do Isse pehle k tm haathon mere maaray jao Raastay se hato mere.choro janay do
Sanatçı: Nabeel Akbar & AADIBEATS
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 4:32
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Nabeel Akbar & AADIBEATS hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı