nabeel akbar gunah (feat. shokey) şarkı sözleri

Akhir kis gunah ki saza ye pyasa ye dil leke betha darya Aakhir kis gunah ki saza k mein jitna smbhalun bikhrta rha Jese bachi na koi jeene ki waja ho tw phir ghr wapis bulalo mjhe Mere Khuda Aadha neend aadha hosh mein Tere khayal teri soch mein Dooba hun mein is qadar k karun aankh band tw lage jese ab bhi hun mein teri hi aaghosh mein Kaafi saalon se khaamosh the Kbhi hum dono bhi dost the Aj bhi hum muskurate tw bus yaad krke tmhein wrna zindagi tw katjayegi afsos mein Maut k qareeb jarhe likhe meine geet saarey Apnay beetey haal pr poochey gaye sawaal pr Betha mein udaas mulaqaat ki umeed haarey Mohabbat sachi jisko miley wo naseeb waalay Paisa zarurat mgr jaan se azeez na Thi tjhse barhke dunya mein koi mere liye cheez na Aya mjhe phir ek khwab Kuch ajeeb sa Mein so nai paya raat bhar bus baaki sb kuch theek tha Dekha meine phir ek haadsa dubara Mjhe laga jese tmne mera naam phir pukaara, Uske baad se dubara so nhi paarha Meine ek or raat wqt jaag k guzaara Mein sb tjhpe lutaa Dun agar ajaye phir Tu waapis Pr nhi dunya mein koi taaqat Esi koi bhi na ibaadat Lagta ghr khaali imaarat Mjhe horai phir ghabraahat Kia tm ab bhi aas paas mjhe sun sakti ho shayad? Ye khaali kamra mjhe kaantnay ko doray Betha roz sb kuch chor k kahin bhaagney ka sochay Peechey log bhi tw boht bethe aas mein jo meri Kese apnon ka dil apnay haath se hum torein? Nichoray goray kaagaz pr apnay kaalay kartoot Saaray dukh dard saaray jama kie jo saboot Sunday ko confessions pr nhi holy mera booth Kia mein waqai itna Paak ho dua meri qubool Is dard ka ilaaj kuch btaiyye huzoor Mjhe rehne deta qaabu mein nhi mera ye fitoor Sb mashwaray fuzool meine azmaa ke dekhe Jinse tha dil ko sakoon wo jaake asmaan pe bethe Rahenge gham ye zindagi bhr saath mere Koi na le saka teri jaga jaanay k baad tere Banaya tha jo kabhi mahal baray shoq se Wo khud apnay haath se kia barbaad meine Yehi waja k aankhein rahein nam K Mere chahney waalay bachay kam K sunke bhi na jese mjhko koi smjh ske Pr tm pehchaanlete usse pehle k kuch kahein hum Kisi kaam mein na lagay man Jese dairay mein phasay hum Jbse khoya meine tmhein mjhe yaad nai K ek dafa bhi kbhi sakoon se ho soye hum Akhir kis gunah ki saza ye pyasa ye dil leke betha darya Aakhir kis gunah ki saza k mein jitna smbhalun bikhrta rha Jese bachi na koi jeene ki waja ho tw phir ghr wapis bulalo mjhe Mere Khuda
Sanatçı: Nabeel Akbar
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 4:52
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Nabeel Akbar hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı