nabeel akbar iraada şarkı sözleri

Zindagi mein milay gham thoray ziaada Ye tootay na dil tabhi dil nahi lagaata Hai sab se barhke mjhe teri khushi Mera jeenay k khaatir marnay ka iraada Maangein dua jese tootta sitaara Haal jesa bhi kartey hum shukar Khuda ka Mein dekh sakta tujhe nahi kabhi dukhi Hum kartey pura jo bhi kartay hum vaada Kabhi socha nahi tha ye sab kbhi sach hoga Mjhe laga zinda bachna bhi luck hoga Aagay barhun larun dunya se roz Apnay kandhon pe leke chalun bojh jese barson ka Agar ajaye maut mjhe kal subah samajh lena meine kardia qarz pura Log kehte idhar maujzay nahi hotay Agar sach hota esa tw mein kaafi pehle mar chuka Hairat-angez, badalta bhes Waqt jese reit Phisley kaafi tez Rukta nahi dekh Lagi jese race Log bantay hein neik Par asal mein snakes Apnon ko dastay Apnon mein phastay Mehangey libaas magar log baray sastay Maamlay sangeen lagay dur se rangeen Meri chat aasmaan ghar ye zameen Mera Rab pasbaan han mein rakhta yaqeen Aaj se 10 saal pehley meine dekha tha dream Meine kahin baar socha ke mein chor dun par nahi Mera kia haal hota agar chor deta wahin? Apni madad aap kara Koi nahi tha tb saath khara Dekha tha ek khwaab bara Jiske liye din raat lara Umar beshak choti magar kara meine kaam bara Jhela kaafi kuch tabhi aaj mera naam bana Aaj zara dekh Kitnon k dilon mein basa hun mein Nasha hun mein Jese bebas ki himmat ki waja hun mein Jese tootay huay dilon ki sada hun mein Nahi paray farq koi jitna marzi hate karey Chaahney waalay beqaraar mera wait karein Shukar-guzaar Rab ne rehmat se nawaaza mjhe Mein kalakaar meri kala mera pait bharay Zindagi mein milay gham thoray ziaada Ye tootay na dil tabhi dil nahi lagaata Hai sab se barhke mjhe teri khushi Mera jeenay k khaatir marnay ka iraada Maangein dua jese tootta sitaara Haal jesa bhi kartey hum shukar Khuda ka Mein dekh sakta tujhe nahi kabhi dukhi Hum kartey pura jo bhi kartay hum vaada Lagey zakham magar ruka nahi mein Bhooka mara magar kahin kabhi jhuka nahi mein Khuda karey na kisi ka mohtaaj Be-matlab tw haal bhi koi puchta nahi hai Mjhe lagta tha mein gunahgaar Magar mjhse bhi kahin ziyada zamaana kharab Mere ghar ko lagayi mere apnon ne aag Meine zindagi bitayi leke sapnon ki aas Puri kari meine mjhpe jo bhi zimmedaari Mjhe haarnay se behtar lagay maut meri pyaari Meine mujrim ki zindagi road pe guzaari Mein dubaara wese jeesakta laut k nahi jaani Jaan phir meine dao pe laga di Apni bachi kuchi daulat saari yaar pe lutaa di Jo gaye kabhi laut k nahi aye Intizaar kiska hai? Tujhe kesi ye khumaari? Chorde tu logon se umeed rakhna Bus tera hai tu or tu hi sabka Karega tu pura apna har sapna In choti moti mushkilon se mat ghabra Rakh dil gurda ya phir dil murda Dekh darnay se hoga nahi koi faida Hotay tw sab cheezon k kuch asool Bus mohabbat or jang mein nahi koi qaida
Sanatçı: Nabeel Akbar
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 3:01
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Nabeel Akbar hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı