nabeel akbar love u mama şarkı sözleri

Mjhko nhi pata kia hoti rishtedaari Mgr maalum koi nhi lesakta kbhi jaga tmhari Dukhaya hoga meine jitna dil tmhara Uskeliye nai hoga kaafi maangu jitni bhi mein maafi Mgr.. mjhko sb se ziada apki qadar Mother, I'm sorry mein nai asaka ghar Lgta zindagi mein likha krna ziyada safar Log bhul jaatay waqt k sath sb kuch jaata badal Sikhaya mjhe hota pyaar ka kia matlab Maii shukriya banaaney ko haseen mera bachpan Dua tmhari Rab ne mjhpe kia Karam Apni qismat badalnay ko Rab ne mjhko dia qalam Ab mein gangster se kalakaar Studio mein saari raat Log kaafi kha rahe khaar Jb dekhein ho rahe kamiyaab Peet peeche karein vaar Paison k peeche badlay yaar Karta khud khata jo bolay dusrey ko daghabaaz Ye kesa gorakh dhanda Rab ye kesa silsila h Kisi ko had se ziyada or kisi ko kam mila h Kisi ko khushi mgr kisi ko sirf gham mila h Wafa k badlay mjhko ziada tar zakham mila h Tbhi tw logon se bharosa mera uth gya h Raabta khatam tabhi sabhi se meine khud kia h Rakh kr dil pe pathar meine rishtay naatay toray Saaray they jo dil k maamlay Khuda k upar choray Humari zindagi mein jitna bhi ho drama I just wanna say that I'll always love u Mama Tum meri dadi dada tm hi nani nana I just wanna say that I'll always love u Mama Koi mjhko smjhe pagal koi mjhe diwaana Mgr I just wanna say that I'll always love u Mama, Jo marzi mere baaray mein sochay zamana mgr I just wanna say that I'll always love u Mama Dunya waalay saalay baray zaalim log hein Wahin vaar karein jidhr dekhein lagi pehle hi chotein Achay waqton mein tw sab hi sath hotay Buray waqton mein pata chalta k asal saga kon h Jiske kndhay pe hum rakh k sar they rotay Wohi yaar peet peeche mere akay chura ghopay Ghairon ne pyaar dia loota apnon ne Saath khanay walay kese mere jani dushman hogaye..?! Bhoolgaye kia tm Rab ko moo dikhana Jo tu dunya mein karega wohi tere agay aana Jisko pata sabke raaz uski laathi be-awaaz, Jiske paas aakhirkaar sb ne mar k chale jaana ek din Rehjayega ye sab yahin pe Khuda ki amaanat Usne di jo hum ko zindagi ye Wapis bhi lautaani maut tw sabhi ko aani Chalna pata bhi nai kab khatam hojaani zindagani lekin Marna tw sabhi ne Peeche rehjaatin tasveerein Or kuch yaadein or kuch cheezein Achay buray din jo beetey Kabhi haaray kabhi jeetay Tanha raaton ko jb dard ke maaray maarein cheekhein Kandha dene waala bacha na koi agay na koi peechey Jab koi dikhe na umeed ki kiran mjhe kahin se Mjhe pata ek darwaza hr waqt mere liye khula h Tum tw nai Khuda pr lgta tm mein hi Khuda h Humari zindagi mein jitna bhi ho drama I just wanna say that I'll always love u Mama Tum meri dadi dada tm hi nani nana I just wanna say that I'll always love u Mama Koi mjhko smjhe pagal koi mjhe diwaana Mgr I just wanna say that I'll always love u Mama, Jo marzi mere baaray mein sochay zamaana mgr I just wanna say that I'll always love u Mama
Sanatçı: Nabeel Akbar
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 3:35
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Nabeel Akbar hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı