nabeel khawar worthy şarkı sözleri
Humse rahein hai jurri, raaston se hai sulah
Meri adaatein hain buri, par kud na mein bura
Jaanta hoon, tumhe lage sab adhoora
Put your dreams on me, kar doon mein poora
Kamaya jo bhi, woh tujhpe uraah doon
Ya aik eent se poora ghar mein bana doon
Dharta kudse ab kudse paana loon
Ya soya wa kudko akhir mein jagah doon
Kidhar ghum mein kidhar rehne laga sochne laga
Unwaan deya khana badosh, tabse hosh khone laga
Baatein idhar udhar ki kudse mein karne laga
Akhir aya hosh tou kitaab zindigi ki parhne laga
Dekhi meine zindigi par sikha usse kuch nahi
Akhir aya waqt log nikalne lage nuqs bhi
Parwa na karun, sikhayat na karun
Issi wajah se cheere par rehne lagi khushi
Uthaya Qalam likhne laga gaane
Meri zubaan woh na jaane
Likhe afsanay, jaala betha, chor betha tha umeed
Aik bhai ne rakha haath deya sahara
Giraa tha parha phir kudko sambhala
Saare daaghon ko wapis mitha ke mein aya
Mujhe puchne lage wapis kidhar ko mein jaara
Zakham jo mujhe andar he andar khaa raha
Ussi zakham ke zirriye khoon Qalam se bahara
Mein deep apne lafzon se karta gumaan nahi
Ke hoti na tum tou raaste hote aasaan nahi
Mera kya mein ghar mein akhir mehmaan hi
Mein teri soch bhi pareshaan bhi aur hairan bhi.

