Nader Khan şarkı sözleri

Hava khilaf thi, lekin chiragh khub jala Khuda bhi hone ke kya kya sabut deta hai Tere hi nam se har ibteda hai Tere hi nam tak har inteha hai Teri hamd o sana, alhamdu liLlah Ke Tu mere Muhammad ka Khuda hai Ye zamin jab na thi, ye jahan jab na tha Chand suraj na thay, asman jab na tha Raz-e-haq bhi kisi par ayan jab na tha Tab na tha kuch yahan, tha magar Tu hi Tu Kawnain ka masjud hai, ma'bud hai Tu Har shai Teri shahid hai ke mash-hud hai Tu Har ek ke lab par hai Teri hamd o sana Har soz mein, har saaz mein mawjud hai Tu Tu jo har aan nai shaan dikha deta hai Dida-e-shawq ko hairan bana deta hai Dali dali Teri takhliq ke gun gati hai Patta patta Teri qudrat ka pata deta hai La ilaha Teri shan ya wahdahu Tu khayaal-o-tajassus, Tu hi arzu Ankh ki roshni, dil ki avaz Tu Khaliq-e-kul hai Tu, is mein kya guftagu Sare alam ko hai Teri hi justaju Teri jalvagari hai ayan charsu Tha bhi Tu, hai bhi Tu, hoga bhi Tu hi Tu

Sanatçının Fotoğrafı

Nader Khan