p.ray andhadhun şarkı sözleri
Band band hu me penjre mai jaise ek pakshi
Cheen ka taufa koi jaan ko na bakshi hai
Galti hai yahan tumhari toh chalti hai
Kalam se mere yeh sarkar ko satkar
Dhande pe jau toh dande padege
Work from home matlab ghar pe sadenge
Unka kya jinka ghar hi hai pavement pe
Bharti karo patient nahi pehle payment
Janta impatient re
Andhadhun Sarkar ko mera namaskar
Ghoomte mantri maze main laal bati
4 gadi aage peeche jalti jaise mom batti
Aag faila diye par chod de na dal mitti
Thaali hai khaali aur dhandha hai shutdown
Laana chahte roti aur tum laye lockdown
Rules bhi tumhare aur tumhi violator
Khaali kitne ventilator tu hi calclute kar
Sason ki talaash main jane kitne laash bankar
Oxygen ki kami chlra sase pakadkar
Ab hisabh hi jodra hai toh de de mere answers
Doosri leher aayegi dooba ke le jayegi
Tu jaanta tha na
Insaniyat se upar hai dolat shaurat
Tu maanta tha na
Tere hi dhun main tu andha tu
Teri hi dhun main tu andha tu andhadhun
Dekh ke undekha kare tu andhadhun
Tere ghamand aur akad ko ujadhna hai
Janta ki awaz hai ukhad jo ukhaadna hai
Teri hi dhun main tu andha tu andhadhun
Dekh ke undekha kare tu andhadhun
Tere ghamand aur akad ko ujadhna hai
Ukhad jo ukhaadna hai janta ki awaz hai
Rally aur gardi main mange tum vote
Kaha gaya lockdown aur144
Power aur dhan ke liye kuch bhi karoge
Bhagwan se ek din tum bhi daroge
System ke kido se bachna lo ppe
Khel jaise haar jeet saanp seedi gdp
Beds aur meds ki toh shortage hai
Rog yeh aatankvadi hum toh hostage hai
goli ka dosage hai
Vaccine hai yah bandook ki magazine hai
Do shot paas jaise joint ki yeh taxi hai
Backseat pe mask nahi khatla toh fatna hai
Sabhi ko bharna hai 500 ka dand
Fine ke saath de do mask refund
Mr india jaise cm cares fund
Fir bhi janta khadi akhand
Abhimaan se gaye tum shahi snaan keliye
Samaan bech diye imaan keliye
Desh ki barbaadi main tumhari kamyabi
Break the chain boldiye kahan azaadi
Lockdown ki zaroorat par sab dhukhi hai
Samarthan aur aasra tab sukhi hai
Bharat ki janta sab isme shaamil hai
Sarkar nahi par doctor kaafi kaabil hai
Tum bhaashan do fir chup rahe yeh janta kyu
Band hai sab kuch fir chalu tera dhandha kyu
Dard main gum bhai bheno ko kandha du
Tere hi dhun main tu andha tu
Teri hi dhun main tu andha tu andhadhun
Dekh ke undekha kare tu andhadhun
Tere ghamand aur akad ko ujadhna hai
Ukhad jo ukhaadna hai janta ki awaz hai
Teri hi dhun main tu andha tu andhadhun
Dekh ke undekha kare tu andhadhun
Tere ghamand aur akad ko ujadhna hai
Janta ki awaz hai ukhad jo ukhaadna hai
Mere aankhon se jo satya dekha
Zuban se kalam pe mere tere kano tak
Mask sabhi ne pehna hai
Humne muh par aur tumne aank par