radence chhalkaari şarkı sözleri
1947 tha san jab mili azadi
Makhmal ko jalake tan pe rakh diya khadi
Ek jut hoke, seena thoke thi khadi aabadi
Cheekhein meelon tak ke band karo ye tanashahi
Tanashahi nahi chalegi yaha pe ab tumhari
Jali baat khali, khali padi hai yaha pe thali
Bhot bhaari, insaaniyat ki zimmedaari
Tabhi to bana hai karamchari krantikari
Hai aatankvadi yaha pe jiske lafz hai bhaari
Sirf tabahi, kore kaagaz pe chappa gandhi
Kaali aandhi, ek mukhauta hai sirf ye azadi
Azadi? hai ghulaami
Ghulaam hai gareebi ke, ghulaam hai ameeri ke
Ghulaam hai farebi ke, ghulaam hai zameeri ke
Ghulaam dhokhadadi ke, ghulaam nafakhori ke
Ghulaam seenajori ke, ghulaam rishwatkhori ke
Ghulaam hai bimari ke, ghulaam hai beimaani ke
Ghulaam hai haqdaari ke, ghulaam hai khuddari ke
Bas naam ki azadi ke tarane ye suhane
Jaane maane se ye lafz hai sune kaiyo ki zubaane
Kis muh se pooche ye tu kya hai ye aukaat meri?
Kis muh se pooche ye tu kya hai ye pehchaan meri?
Kis muh se pooche ye tu banda hun mai desh ka?
Jab bech khaya paisa tune karke humke andha yun hi
Sadko pe baithe bhookhe bachho ko to chor dia
Degree dekar bhi berozgaari me hi chor dia
Andheri raaton me niraksha ladki, chor dia
Humne tumko vote dia tumne humko chod dia
Kyun kar rakhi hai tune abhi bhi ye chuppi dharan
Saaf seedha ho raha hai napaki ka jab prasaran
hatho me tere sabhi zariye aur sabhi saadhan
Tu bhi jhukega kya bas kaafi nai hai ye hi kaaran
Maun dharan, mat kar ye padega bhaari
Awaz uthane ki baari chalegi shabdo ki aari
Kamzori jo jari to fir kal ye humko baant denge
Aj agar tu chup hai kal zubaan teri kaat denge