radhika srivastav khoya rahu şarkı sözleri
Khoye khoye hai mizaaj
Tere mere kyu aajkal
Batao na
Ya main akela hi khada hu
Tere sapne bun raha hu main
Batao na
Agar yahi hai sach, to bolde
Ya khwaabon mein hi mujhko, tu chod de
Nahi hai aas jaagne ki kal subah
Sapno ke samundar me khone de
Kyuki
Khoya rahoon main
Sapno ke jahaan mein
Jahan hai saath tera
Shaam or subah
Kahan
Khoya rahoon main
Main us duniya mein
Tham sa hai jaata
Jahan har pal mera
Khoye khoye se mizaaj
Mere bhi to hai aajkal
Sun zara
Nahi akela tu nahi hai
Sapne bun rahi hu main bhi to
Sun zara
Yahi hai sach pyaar bhi to hai mujhe
Khwaabon se nikalke tu dekh le
Saj sawar rahi hu main bhi aajkal
Ke ik nigaah mujhpe tu rokle
Kyuki
Khoyi rahoon main
Sapno ke jahaan mein
Jahan humsafar main teri
Or tu hai mera
Khoyi rahoon main
Main us duniya mein
Pyaar ka izhaar
Jahan tune kiya
Khoye rahein hum
Hum us duniya mein
Jahan hai saath tera
Shaam or subah
Khoye rahein hum
Hum us duniya mein
Tham sa hai jaata
Jahan har pal mera

