saad aslam sawal şarkı sözleri

Kabhi lagta ha mai waqt se haara baazi houn Kabi lagta ha ma shayad khudse raazi houn Kabi lagta peeche chor dia sb kuch ma ne Phir pata lagta ma abi bhi phasa maazi ma houn Shuru se shuru ye iktetam ka anjaam ha Khudse shikayat ha ya muje khudpe maan ha Kbse houn safar pe ab likh rha ye safarnama Aur bachi zindagi bhi is safar k naam ha Ha bs ma sb kuch laikin kuch b mere bas ma nai ha Phasa pachtawo ma pachtaway mujme dhans hi gaye hain Wo mujse kehti ha kay saad tum pehle jese nai ho Andar hi andar khudme khi ab tum phas hi gaye ho Likhi shayari aur kagaz phir jalaye ma ne Roshan kr kay kitne diye saaray hi bhujaye ma ne Logo ko nazar aata shayad ab ma hasta nai houn Aur ma nai smj paata kyu ma khud ka saga nai houn Chahiye jawab thay ma aur sawal houn dhoond chuka Ma jesa jo bhi tha ma khud bhi ab wo bhool chuka Nikla houn safar pe aur manzil ka kuch pata nai ha Khudse kyu khafa houn jb koi b mujse khafa nai ha Kabhi lagta ha mai waqt se haara baazi houn Aur kabi lagta ha ma shayad khudse raazi houn Aur kabi lagta peeche chor dia sb kuch ma ne Phir pata lagta ma abi bhi phasa maazi ma houn Jaga veraan aur ma khud kay muqabil houn Khud se anjaan laikin dunya kay liye qabil houn Pehle to ma bhi khi basta tha is dunya ma Basta khayalo ma ab hochuka ma ghafil houn Suna tha me ne gardish ma hotay sitaaray hain Gardish ma zindagi to hum bhi kya sitaray hain Muqabil ha zamanna par hum apne ap se haray hain Kitno ka sahaara khud Khuda kay saharay ha Kitno ko azeez par ma khud ko hi azeed na tha Mere hi andar basta shaks koi ajeeb sa tha Kabhi ha lagta k ma maara gyaa esi liye Takay ma smjta kay zindagi ha cheez kya Dekha tha ma ne tumhe naazro pe betha kay bhi Dekha tha ma ne khud saara bhoj utha kay bhi Muje to kuch na mila apna aap lutaa kar bhi Aur tum bas mukar gaye ho sachi kasmein kha kay bhi Ma ne to harr kar bhi jeeti li ye baazi ha Muje afsoos nai ha har sakhs mujse raazi ha Maazi pe kabi b swal nai uthaatay hain Tu mere liye kuch bhi nahi ha bas aik bura maazi ha Kismat ne aagay mere mushkil imtehaan rakha Kaun kaha mujpe hasa ma ne bhi dehan rkha Kabhi tha lagta poora nahi hoga maqsad mera Laikin khudpe fakahr ha kay ma ne khud ka maan rkha Ma ne bs mehnat ki ha isme koi saza nahi ha Pesa majboori ha pese bin koi maza nai ha Ha meri minat kay umeedain na lagana mujse Poori kese kru muje khud pe bharosa nai ha Likhu qismat ye muje ikhteyaar nai ha Azmalo saaray hunar muje intezaar nai ha Aik waqt esa tha ma kanto pe bhi mar jaata tha Aj waqt ha esa muje phoolo se pyaar nai ha Jin cheezo se khauf aata muje unka shoq kyu ha Jab ma shayar nai houn phir gaano ma zauq kyu ha Marne k liye to zehar sabhi peete hain Aur ek hum zindagi ko zehar pee kay jeete hain Marne k liye to zehar sabhi peete hain Aur ek hum zindagi ko zehar pee kay jeete hain Marne k liye to zehar sabhi peete hain Aur ek hum zindagi ko zehar pee kay jeete hain Chahiye jawab thay ma aur sawal houn dhoond chuka Ma jesa jo bhi tha ma khud bhi ab wo bhool chuka Logo ko nazar aata shayad ab ma hasta nahi houn Aur ma nai smajh paata kyu ma khudka saaga nai houn
Sanatçı: Saad Aslam
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 3:12
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Saad Aslam hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı