saaj paighaam şarkı sözleri

Saharay kay naam pe qatal kartay hain, saray sapnay jo hamnay dekhay hain. uh, yeah Woke up with tears today, Magar kehtay thay k mard nahi rotay, Ye suntay suntay ham huay baray, To phir ye ansoo kaise, Kyun tapaktay kyun ye behtay, Kyun wo alfaaz sab jhootay, Aur ab ye rooh sehtay sehtay — sirf ye kehday, Ye dil bhi to insaan hai, Iskay bhi armaan hain, To phir kyun ye badnaam hai, Sun larkay, ye mera paighaam hai, Sab chupa kay jeenay mein araam hai, Ye jhoot apna kay sirf marna asaan hai, In raston ka jo maqaam hai, Wahan tanhai kay siwa sab sunsaan hai, Tu jawaan hai abhi naadaan hai, Baat maan sirf ek hi jaan hai, Sitaron ka ehsaan hai, Akelay chalnay mein, Sirf nuqsaan hai. Kyun gum sum se ham rahain bechaaray, Kyun chup reh kay gham sahain ye saaray, Kyun gum sum se ham rahain bechaaray, Kyun chup reh kay gham sahain ye saaray, Sun — kar muaina, Sar jhuka kay chalnay mein hai faaida, Ye saayon mein basnay ka hai qaaida, Par saayon mein sirf basa hai andhera, Yahan nahi hai savera, Na ujala na basera, Sirf andhera hi andhera. Aur tu reh jaye ga akela, Sab ka ho ga tu sautela, Ye jo do pal ka afsaana, Begaana na guzaarna, Dil ki baat na jhutlana, Apnay khwaab na dafnana, Raaz ban kay na jeena, Tu bhi dhoond lena aasra, Tera bhi to ho sahaara, Kyunke tu bhi to insaan hai, Teray bhi armaan hain, Aur ye mera paighaam hai, Yaad rakh baat maan, Sirf ek hi jaan hai, Sitaron ka ehsaan hai, Akelay rehnay mein, Sirf nuqsaan hai, Sirf nuqsaan hai, Sirf nuqsaan hai, Kyun gum sum se ham rahain bechaaray, Kyun chup reh kay gham sahain ye saaray, Kyun gum sum se ham rahain bechaaray, Kyun chup reh kay gham sahain ye saaray,
Sanatçı: Saaj
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 2:40
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
Saaj hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı