saif altaf hum şarkı sözleri
Kal ke hi thay pal
Tum saath thay
Woh qissay woh waaday saaray
Kyun bhula diyay
Woh jo pyaar
Teri aankhoun mein dikha tha
Kiya abhi bhi hai baaqi
Tu bata
Mujhay hum pe tha yakeen
Kyun tum ko tha nahin
Kiya thi mujh mein kami
Kyun tum main hum nahin
Meray dil ki yeh zameen
Kyun kal thi ab nahin
Kiya thi mujh mein kami
Kyun tum main hum nahin
Meri yeh zindagaani
Tum se hi thi par
Tum ne bhuja diyay
Pyaar ke saaray diyay
Main kaisay bhooloon
Woh lamhay jo tujh ko diyay thay
Teri hi baahoun mein
Din thay meray woh dhalay
Jaana hi tha tou
Aaye kyun dil mein meray
Main dekhoon teri aankhoun mein
Wohi pyaar
Par bassta inn mein hai ab
Koi aur
Mujhay hum pe tha yakeen
Kyun tum ko tha nahin
Kiya thi mujh mein kami
Kyun tum main hum nahin
Meray dil ki yeh zameen
Kyun kal thi ab nahin
Kiya thi mujh mein kami
Kyun tum main hum nahin
Kyun tum main hum nahin

