s.h.haideri, shehroz aajiz şarkı sözleri

Ab jahan bhi hun, mein aajiz zamanay se Qatil bhi hun mein jin k hawalay se Shamil bhi hun mein shatir bahany se Zahir krnga kisi fasanay se Jantay naam na kisi flanay se Puchty haal jo kbhi anjaanay thy Thhook k chaat'tay kbhi jo baghi thy Jinhe ghuroor tha apne ghranay se Qalam tou shae'y haqeer lakeer jo maray tou chlay faqeer Shareer se hathon ko kre ameer Aseer jo kre ye dil ko Baghi bna denge tu kbhi mil tou, baghi ye bolenge jese mein manto Gandi zubaan pr saaf ye man tou! Mandi c soch se jahil kr pin tou! Dikhe adaa kaari zada kalaa kaari kum Gunahgaari zada, khata kaari kum Gunah bhaari zada, sazaa bhaari hum Riyaa kaari zada na kren tou ghum Siyaah saari soch, tu baalon ko noch Tu hathon se apni lakeeron ko khoj Tu baton se apne qareenay ko khoj Tu raton mein apne khazeenay ko khoj Tou milega tere bhi dil ko qaraar Tou krega sagon mein tu bhi shumaar Tou milega tjhe bhi thhorra ubhaar Jo dilon ki pasti mein parray bimaar Anaa ka fitoor, balaa ka ghuroor Mijazi umoor ka kaif o suroor Zameeni khudaon k vehm se choor Pr rkhen bayaan pe poora Uboor Mein saaf ab saanpon ko dekhun mazeed Ye deeni labaday mein chhupay yazeed Mein jaag k khwaab bhi dekhun shadeed Mein jaagta aas mein, milay naveed Ye faraq hai soch ka Faraq ni sochta, tere or mere mein Tu ne kmaya kya tu ne lgaya kya Qala ne bol k tujhe sikhaya kya Jb mehnat se jana hai agy tou faraq ni tera or mera hai kya? Umeed ki roshni dikhe pr duniya mein teri andhera hai kya? Or tera or mera hai kya? Utho tou savera hai Kya? Toofaano ki lehron se bnte jo badal, unpe basera hai kya? Ab rkhun mein hosla, sabit qadam rehna seekha hai isi zmanay se Hmesha se halat e jung mein, rhe na peechay hum kisi hawalay se Mehnat darkaar hai, chaho jo madad o nusrat us rab k dahane se Jo dekha, jo suna, jo kiya mehsoos wo likh k bta dya ganay se
Sanatçı: S.H.HAIDERI, Shehroz
Türü: Belirtilmemiş
Ajans/Yapımcı: Belirtilmemiş
Şarkı Süresi: 2:40
Toplam: kayıtlı şarkı sözü
S.H.HAIDERI, Shehroz hakkında bilgi girilmemiş.

Fotoğrafı