taandav apne şarkı sözleri
Maa puchti gaanein ye kaise bana letu tu mai jaanti nahin
Ye gaanon mein dard hai maa ye baat mai kaise batau tumhein
Sataya hu bhot per hara nhi ye tere duaein hai shaamil
Mai kaabil banunga tere liye ladunga duniya zamaane se
Mai pure karunga sapne jo tune meri aankhon mein sazaaye hai
Khwaabon ko tutna dunga nhi khwaabon ne hi to jindagi banayi hai
Raaton ki neendein haraam sapne naa krne de mujhe araam
Sapno ko kaise mai chod du sapne mere apne hai
Mai apno se rehta hu dur per apno ke dilo mein bhi mashhur hu
Mai chahta hu baantna pyaar fir bhi ye duniya maangti nafrat kyu
Tode nafrat ki deewar pyaar ke do shabdo se
Koi kisi se baatein bhi karta hai baatein bhi hoti hai matlabi
Pyaar ka koi mol nhi sasta kaagaz hai keemti
Mai pyaar bhi kar baitha kaise logo se jinke paas tha dil nhi
16 november ki baat thi naam tha mansi ayi vo paas mein
Boli vo mujhe ki nahin hai akela tu saath hu tere mai rehna udaas nahin
Aaj bhi saath hai aaj bhi paas hai bus khayaalon mein
Tu chodke chali gayi mujhe per basi hui meri aankhon mein
Maine tujhe basaya tha dil mein tumhko sajaya tha apni mehfil mein
Kehke apna kar diya paraya tu hi thi khushiyon ka bahana
Tumh chodke chodke chale gaye mai akela hi reh gaya
Taanadav naa ata bachana to shaayad mai mar jata
Maine likhdi zindagi taandav ke naam
Ab karega vahi dhokhebaazon ka hisaab
Mai rehta hu jitna shaant usmein utni jal ri badle ki aag
Mera bhai mujhse kabhi kabhi lad leta hai
Per vo khud se jyada mujhe pyaar krta hai
Main to de dunga jaan aaye bhai pe koi aanch
Mai le lunga jaan uthe bhai jo haath
Dekhi duniya nhi maine mujhse jyada usne dekhi hai
Mai kya hi dunga bhai ko usne her khushi mujhko dedi hai
Shaayad rishte nibhana to mujhko aate nhi hai sahi se
Per ismein bhi mera kya kasoor kisi ke liye khudko kyu badlu
Jisko mein chahu dil se vo jaaye mera dil todke rabba khush rakhe unko
Mai krta hu mehnat raat din chankunga jaise dhruv ka sitara
Ye meri kahaani shabdo se duniya ko sabko sunaunga
Kamyaabi ka safar hai to fir asai thodi naa manunga
Rakha mai sabar hu kehta khud se thoda tu kr le safar
Naa rakh paayega sabar tu fir baithja khodke apni kabar
Gaya kabhi nhin college dekha struggle kamaane the paise banana career
Shock maar diye saare sapno ke liye ab sapne khade hai saath jeene ke liye
Jinh logo ko mai kabhi apna bolta tha aaj mere liye vo gair hai
Ab milna chahta vo milta nhi kyuki bhar gaye dil mein zeher hai
Man krta hai rone ka asu nhi aate mai kisko batau mere dil ki ye baatein
Ab duniya ko dikhta nhi mai khud se mai thodi baatein kr leta hu
Ab ladka akela sa ladta akela hai ladke mein baat hai ladke ka toofaan hai
Jalta nhi kisise chalta hai khud se jo bhi mai krta hu pura dil se
Aaj bhi akela hu kal bhi akela rahunga
Ye mitti ka shareer mil jayega raakh mein
Ek din fir kon se apne kon thae paraaye
Apne to apne hote hai ye sapno ki tarah kyu lage mujhe
Neend mein rahu to paas lage khule jab aankh to juda dikhein

